Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi huwi aadhi jaagi huwi
Aankhein malte huwe dekhti hai, laher dar laher
Mauj dar mauj, behti huwi zindagi
Jaise har ek pal nayi hai, aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai, door jaana bhi hai, aur ye ehsaas hai
Waqt jharne sa behta huwa, jaa raha hai, ye kehta huwa
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain. - Yash Chopra
No comments:
Post a Comment